Hello Dosto, Aksar hum Memory Card Kharab ho jane ke
baad use phek dete hai. Lekin hame esa nahi karna chahiye. Kyunki Currupt aur
damaged memory card ko hum dobara se sahi kar sakte hai. Aur Uske Data ko
recover kar sakte hai.
Ek Chota sa Chip jise hum apne Mobile, Camera, DSLR me
storage ke liye istamal karte hai. Aur agar ye chip yaani Memory Card ek baar
kharab ho gayi, To hum apne data ko lekar kaafi pareshan ho jate hai.
Ese me
aksar hum apne memory card ko kharab samajh kar phek dete hai. Agar aapke paas
bhi hai koi Currupted / Damaged Ya Kharab Memory Card to ye post aapke liye hi
hai. Apne Memory Card ko phekiye nahi, Kyunki aap use dobara se sahi kar sakte
hai aur uske data ko bhi asani se recover kar sakte hai.
Causes
of Memory Card Damage
- Bina Eject kiye, Memory Card ko Mobile ya P.C se Remove karna.
- Copy ya Move karte samay SD Card ko Remove karna.
- P.C ya Laptop me jayada Virus ke karan SD Card Damage ho sakta hai.
- Jyada Format karne se bhi SD Card Damage ho sakta hai.
- Kayi Tarah ke Operating System me SD Card ka Use karna.
- SD Card par jodh parne se bhi Memory card toot sakta hai.
Repair Corrupted / Damaged Memory Card
Sabse
Pehel aapko apne currupted ya damaged memory card ko apne P.C ya laptop me
lagana hoga. ese aap asani se Card Reader ki help se USB Port me laga sakte
hai. Uske baad Niche bataye gaye Steps ko Follow kare.
- Press Window Key + R.
- Type CMD > Enter.
- Type DISKPART > Click on Yes Botton.
- Type LIST DISK > Enter.
Diye
gaye photo ke anusar is P.C me total 2 disk hai. Ek Hard Disk 465 GB ki Jo ki
hai Disk 0.
Aur
Dusri hai 1875 MB ki, Ye hai hamari currupted Memory Card. Ise hame sahi karna
hai.
- Type SELECT DISK 1 > Enter.
- Type CLEAN > Enter.
- Type CREATE PARTITION PRIMARY > Enter.
- Type ACTIVE > Enter.
- Type SELECT PARTITION 1 > Enter.
- Type FORMAT FS=FAT32 > Enter.
Ab
Dosto, Yahan par ye 100 % tak jayega. Aur uske baad apka Memory Card Ya Pan
Drive Sahi Ho jayega. Ab Apko Command Prompt ko band karna hai to Simple Type
kijiye EXIT > Enter. Ab aapka Memory Card sahi ho gaya. To is tarah se aap
apne SD Card ya Pan Drive ko asani se sahi kar sakte hai.
Corrupted SD Card se Data Recover Kaise Kare
Chaliye
Ab Dekhte hai Corrupted / Damaged SD Card ya Pan Drive se Data Recover kaise
karte hai, Waise to Data Recover karne ke kayi tarike hai. Ek tarika hai CHKDSK
Utility Software ki madad se corrupted SD Card ke Data ko recover kiya ja
sakta hai.
Par ye thoda difficult aur kaafi jyada Risky hai. Kyunki ye MFT or
File Location Table me changes kar sakta hai. Isliye hum kisi bhi Software ka
use nahi karenge.
Sabse
pehle apne SD Card ya Pan Drive ko apne P.C se connect karde yani USB port ke
jariye laga de.
- Ab "My Computer" par jaye. Aur SD Card par Right Click Kare.
- Ab "Properties" par click kare.
- Uske baad aapko uper "Tools Bar" par click karna hai.
- Ab Click kijiye "Error Checking" par.
- Ab "Fixing File System Error" ke checkbox par click kare.
- Aapko bata de ki, jab tak Drive ko Letter Assign nahi hota tab tak computer us drive ko read nahi karta.
- Scan karne par kayi baar SD Card sahi ho jata hai.
- Par Kayi bar letter to assign ho jata hai, aur drive bhi show karta hai. Lekin open karne par e-insert ka error pop up aata hai. Is condition me Aapko Software ka istemal karna padega.
Video Se Samajhiye :
To Dosto, is tarah
se aap badi hi asani se apne Corrupted / Damaged Memory Card Ya Pan Drive ko
Repair bhi kar sakte hai. Aur Data Recover bhi kar sakte hai. Ummeed karta hu ki
aapko pura process acche se samjh me aa gaya hoga.
Agar abhi bhi koi sawaal ya
daut ho to aap hame comment karke jaroor bataye. Aur is post ko sabhi ke saat
Share kare.
Related Post :
SD Card se deleted data ko recover Kiya ja sakta he ya nehin?
ReplyDeletebilkul kiya jaa sakta hai dost - main jald hi is topic par ek video banata hu.
DeleteBahut Helful Information Di Hai
ReplyDeleteThank You Kuldeep Ji
DeleteMera memory card shot Ho gya hai aur 16 GB ka hai lekin 31 mb row fils show kar rha Hai plz batiye ise kaise is data ko recovery kare bhut pareshaan hai
ReplyDeleteagar MC crack ho gayi hogi, to data recover nahi ho payegi. aur agar crack nahi hui hai, to is article me bataye gaye steps ko follow karke aap recover kar sakte hai.
DeleteMera memory card ke pichhe taraf hissa tut gaya hai to kya usme se data recover ho sakta hai kya ji.
ReplyDeletenayi bhai, recover nahi ho payega
DeleteSir mera 32 gb ka micro sd card uper se thoda sa crake aaya hai vo card pc me mobil me read nahi rakta hain us card me se deta recover kese kare sir pls
ReplyDeleteAgar SD Card Crack ho gaya hai, to usme store Data ko recover nahi kiya ja sakta.
DeleteSir mera micro sd card uper se thoda crake aaya hain jane se data kese le pc aur mobil me read nahi kar raha hain card pls sir
ReplyDeleteAgar SD Card Crack ho gaya hai, to usme store Data ko recover nahi kiya ja sakta.
Deleteเคฎेเคฐा เคเคธเคกी เคाเคฐ्เคก เคจिเคे เคธे เคฅोเคกा เคूเค เคเคฏा เคนै เคฒेเคिเคจ เคชीเคธी เคเคฐ เคฒैเคชเคॉเคช เคฎें เคชเคเฅ เคฐเคนा เคนैं เคเคธเคฎे เคธे เคกाเคा เคैเคธे เคฐिเคเคตเคฐ เคैเคธे เคเคฐे
ReplyDeleteThank you for sharing this very useful content.
ReplyDeleteCardRecovery Crack
I surmise the word debasement itself is corrupted because of which; we can't track down its fitting meaning.
ReplyDeletemore info about this