Android Secret Hidden Tips & Tricks | Android Hindi Tricks 2018

Table of Contents

Hello Dosto, Tech Hindi Gyan ke ek aur naye
Article/Post me aap sabhi ka bahut bahut swagat hai. Article / Post Padhne ke
baad, Agar aapka koi sawaal ya daut ho to Comment karke jaroor puche. Iske
alawa Is Post ko sabhi ke saath Share kare, Aur Tech Hindi Gyan ko SUBSCRIBE
kare, Jisse ki hamare sabhi naye post ki Notification aapko lagatar milti rahe.


Android Secret Hidden Tips & Tricks | Android Hindi Tricks 2018
Android Smartphone Lagbhag Aaj Sabhi ke
paas hoga. Aur Log Extra Features paane ke liye kayi jagah se applications
download karte hai. Lekin Kya aapko pata hai har jagah se Apps. download karne
se aapke phone par viruses attack kar sakte hai. aur aapke phone ko kharaab
hone ka khatra bhi ho sakta hai. 

Agar aap Google Play Store se Apps. Download
Karte hai, To koi baat nahi , Phir aapko ghabraane ki jaroorat nahi hai. Lekin
Kya aapko pata hai ki Aapke Smartphone me kayi esi Features hai, Jiske baare me
kisi ki bata nahi hota. 

Ise Ham Android Smartphone Ke Secret Hidden Feature keh
sakte hai. Kya Aap jante hai ki phone ki settings me kayi ese hidden features
hote haijiska users ko pata hai hota hai. 
Android Smartphones Ki Settings Me kuch
ese hidden features hote hai jo sayad hi kisi ko pata ho. Jisme – Phone Ke
Icons aur uske text ko bada ya chota karna, phone ke speed ko badhana, games ki
speed ko badhana, phone ko Black & White banana, Phone ke screen ko Zoom
karna, Text ke Contrast ko badhne, Jaise Features saamil hai. 

To Chaliye Dosto,
Dekh lete hai ye sabhi features ke baare me. Jisse ki aap apne phone ki
performance ko aur jyada boost kar payenge.

Best Secret & Hidden Features Of Android

1)
Enable Large Text

Is Feature ki madad se aap apne phone
ke Text ko Large yaani Bade kar sakte hai, Phir chahe wo settings ki text ho,
ya kisi application ke text, sabhi text large ho jayenge. Ye Kam Dikhne waale
ya Kamzor najar waale Vyakti ke liye Best Feature Hai. 

To Iske liye aapko apne
phone ke settings me jaana hoga. Aur iske baad niche diye gaye steps ko follow
kijiye, Phir aapke phone ke sabhi text large ho jayenge.
  i) Settings Me Jaye.

 ii) Accessibility par click kare.

iii) Niche Large Text ke Option ko Enable
kar de.

2)
Display Zoom Kaise Kare.

Ye Featue bhi Kamzor Nazar Waale Insaan
ke liye Best feature hai. Halakin, Is featue ka istemaal kar koi kar sakta hai,
To ese me ye feature sabhi ke liye best hai. Wese Kamzor Nazar waale Log Jyadar
Bade Display waala phone lena pasand karte hai, Jisse ki Unhe Phone ke Icon Aur
Text Acche aur saaf dikhe. 

Lekin Android me aap is feature ka istemaal karke
apne phone ke display ye screen ko zoom kar sakte hai. Is feature ko ek baar
enable karne ke baad, Aap phone ke kisi bhi jagah par ho, aap scree par double
touch karke screen ko zoom in aur zoom out kar sakte hai. Is feature ko Enable
karne ke liye niche diye gaye steps ko follow kare.
  i) Settings me Jaaye.

 ii) Accessebility par click kare.
iii) Magnification Gestures par click kare.

iv) Ab ise ON kar le.

3)
Increase Your Smartphone’s Speed

Agar aap apne Smartphone ki speed ya
performance se pareshan hai to aap apne smartphone ke secret setting aur hidden
feature ki madad se speed ko asani se badha sakte hai, aur is problem ko solve
kar sakte hai. Iske liye aapko apne phone ki settings me jaana hoga. Aur niche
pataye gaye Steps ko Follow karna hoga.

  i) Settings me jaaye.


 ii) Developer Options par click karna hai.


iii) Agar aapko settings me Develop Options
n dikhe to Aap Jeyenge –

About Phone > Build Number par 5
baar lagataar press karenge. Isse aapke Settings pe Developer Option enable ho
jayega.


iv) Enable ho jaane ke baad Developer
Options par click kare.


 v) Ab niche aapko Window Animation Scale Aur
Transition Animation Scale ka Option show hoga.


vi) Be Default ye 1x hoga. Aapko ispar
click karna hai, Aur ise Off kar dijiye, Yaa to ise .5x par set kar dijiye.


vii) Isse Aapke phone ki Animation Time kam
ho jayega aur aap kisi bhi application par tezi se jaa sakenge, Aur isse aapke
phone ki Speed Boost ho jayegi yaani padh jayegi.

4) Increase Your Game’s Speed

Game khelna lagbhag sabhi ko pasand
hai. Phir chaahe wo chota ho ya bada, smartphone me game sabhi khelna pasand
karte hai. Lekin Game ki Speed aur performance ko badhane ka tarika sayad hi
kisi ko pata ho. Aap apne phone ki settings se hi Game ki speed ko badha sakte
hai. To uske liye aapko niche bataye gaye steps follow karna hoga.


  i) Settings me jaaye.


 ii) Developer Options par jaaye.


iii) Ab yahan par niche aapko Force 4x MSSA
ka Option dikhega, Use ON ya Enable kar le.


iv) Uske baad Aap Behtareen Gaming
Performance ka mazaa le payenge.

To Dosto, Ummeed karta hu ki mere
bataye gaye sabhi steps aapko acche se samajh aa gayi hogi. Agar abhi bhi aapka
koi sawal ya daut hai to aap hame comment karke puch sakte hai. Iske alawa is
post ko sabhi ke saath share kare. Aur Tech Hindi Gyan ko FOLLOW / SUBSCRIBE
kare. Jisse ki hamare sabhi naye post ki notifications aapko lagataar phone me
milti rahe.

Apna Kimti Samay Dene ke liye Aur Post padhne ke liye !!!

Thanks / Dhanyaawaad ☺☺☺☺ 

Related Posts :

2 thoughts on “Android Secret Hidden Tips & Tricks | Android Hindi Tricks 2018”

Leave a Comment