Blogger Blog Ke Sabhi Post Me – Ek Saath Adsense Ads Kaise Lagaye

Table of Contents

Hello Dosto,
Tech Hindi Gyan ke ek aur naye Article/Post me aap sabhi ka bahut bahut swagat
hai. Article / Post Padhne ke baad, Agar aapka koi sawaal ya daut ho to Comment
karke jaroor puche. Iske alawa Is Post ko sabhi ke saath Share kare, Aur Tech
Hindi Gyan ko
FOLLOW / SUBSCRIBE kare, Jisse ki hamare sabhi naye post ki Notification
aapko lagatar milti rahe.

 

Blogger Blog Ke Sabhi Post Me - Ek Saath Adsense Ads Kaise Lagaye

Jitne Bhi Naye Website users hai, wo sabhi yahi sochte hai ki
Adsense se ham jyada se jyada paise kama sake. Aur Naye Website users hi naye,
balki sabhi website users aur bloggers bhi yahi chahte hai. Lekin Jyada paise
kamane ke chakkar me kayi baar ham galtiyan kar baithte hai. Aur Adsense
desable hone ka dar rehta hai. Ese me hame adsesne ke Ads ko bhi sahi jagah par
lagana bahut jaroori hota hai. To Dosto, Aaj ham is post me jaanege ki Blogger
Blog ke Sabhi Post, Old post se lekar new post tak, me Adsene ke ads kaise
lagaye. Aapko sirf Ek hi Ad Code lagana hai. Aur aapne blog ke sabhi post me
Ads show hone lagenge. Aapko bata de ki Har post me ads lagane se earning badh
jaati hai. par har post me baar baar ads lagana bhi possible nai hota hai.
Isliye aaj ham ek trick ka use karenge. Jisse hamare sabhi post me ads show
hone lagenge.





Aapko bata de ki, Is trick se aapke har post ke Title ke niche Ads
show karenge. Aur Jab koi visitor aapke post par visit karta hai to sabse pehle
us visitor ko samne Post Title show hoga. Aur Title ke niche Ads show hone se
sabhi visitors Ads ko asani se dekh payenge. Aur aapki Earnig ke chances aur
jyada badh jayenge. Iske alawa jo ads aap sidebar aur footer me lagate hai un
ads par click hone ke chances bahut kam hote hai. kyunki jyadatar visitors post
padh kar back kar dete hai, aur niche nai jaate. Isliye me aapko bataunga ki
Post ke title ke niche ads kaise lagaye. Aur wo bhi apne sabhi post me ek
saath. To Chaliye Seekh lete hai.



Blogger Blog Ke Sabhi Post Me –
Ek Saath Adsense Ads Kaise Lagaye



1) Sabse
Pehle Apne Blog Ke Dashboard Par Jaye.


2) Ab Theme / Template par Click Kare.

3) Ab Edit HTML par Click Kare.

Blogger Blog Ke Sabhi Post Me - Ek Saath Adsense Ads Kaise Lagaye

4) Ab HTML Editor me kahin par bhi click karke CTRL+F Dabaye.

5) Ab Search Box me Likhe – <data:post.body/> aur search
kare.



                                     

6) Ab Is
Code ko Copy Kare. Uske baad “Adsense Ads Code Yahan Paste Kare” Ki
jagah par apne adsense ad code ko paste kare.


7) Ab Copy
Kiye huye code ko <data:post.body/> ke theek upar paste kare.



8) HTML Editor par <data:post.body/> code ek se jyada baar
hote hai. To aap 3rd code ke upar apne ads code ko paste kijiyega.

9) Ab Upar Save botton par click kar dijiye.

To Dosto, Is
tarah se aap asani se apne HTML par adsense ke ek code ko paste karke apne
sabhi post par ads show kara sakte hai. Mujhe ummeed hai ki mere bataye gaye
sabhi steps aapko acche se samajh me aa gayi hogi, Agar abhi abhi aapka koi
sawaal ya daut ho to aap hame comment karke puch sakte hai. Iske alawa is post
ko sabhi ke saath share kare. Aur Tech Hindi Gyan ko Follow / Subscribe jaroor
kaare. Taaki hamare sabhi naye post ki notification aapke mobile par lagatar
milti rahe.

 

Apna Kimti Samay Dene ke liye Aur Post padhne ke liye !!!

Thanks / Dhanyaawaad ☺☺☺☺ 

Related Posts :


1 thought on “Blogger Blog Ke Sabhi Post Me – Ek Saath Adsense Ads Kaise Lagaye”

Leave a Comment