Google AdSense CPC kaise Increase Kare | Top 6 AdSense Tricks 2018

Table of Contents

Hello Dosto, Online Paise Kamane ka sabse accha aur best tarika AdSense hai. Agar aapke paas ek Wesbite, Blog Ya YouTube Channel hai to aap bhi adsense se paise kama sakte hai. Lekin dosto, Adsense se paise earn karna itna easy ya asaan nahi hai. Iske liye Adsense ki sabhi policies ko fulfill karna bahut jaroori hai. Sabse pehle to Adsense approval me problem hoti hai. Agar abhi aapko adsense Approval nahi mila hai to is post ko padhe → Google Adsense Account Approve Kaise Kare . Aur Approval mil jaane ke baad Low CPC ki problem.

Google AdSense CPC kaise Increase Kare | Top 6 AdSense Tricks 2018

Agar aap ek naye blogger hai aur aapko adsense se approval bhi mil gayi hai to ap aapko cpc ki problem hogi. Kyunki India me CPC bahut kam hoti hai. Aur google adsense traffic ke hisaab se CPC deta hai. agar aapke blog me traffic kam aate hai. ya Organic traffic bahut hi kam hai to aapko CPC kam hi milegi. Adsense se earning ke liye CPC ek bahut hi impotant role nibhata hai. Agar aapki CPC kam hai to aapko adsense me bahut kam earning hogi. Isliye lagbhag sabhi bloggers shochte hai ki CPC ko kaise increase kare.



Google AdSense ek Advertisement Programming Website hai, Iske through aap apne blog ya website par ads show kara kar paise earn kar sakte hai. Lekin India me Adsense kam CPC deti hai. aur naye bloggers ko to aur bhi kam CPC diya jaata hai. Agar aapki Adsense CPC 0.01 se lekar 0.10 tak hai to aapki cpc kaafi low hai. To dosot, agar aap apni adsense CPC ko increase karna chahte hai to is post ko dhyan se padhiye. Kyunki me is post me aapko bataunga Adsense CPC increase karne ke kuch special Tricks.


Adsense CPC Kya Hai ?

Adsense me bahut si chije hai jise aapko samjhna bahut jaroori hai. Bina Adsense knowledge ke aap acchi earning nahi kar sakte. Unhi me se ek CPC hai. CPC ka matlab hai “Cost Per Click”. Maan lijiye ki aapke blog me adsense ads show hote hai. Aur ab kisi visitor ne un ads me se ek ad par click kiya. To ek ad par click karne pe kitna cost mila ise hi CPC kehte hai. Agar aapko $0.01 se $0.10 CPC mil raha hai to aapki cpc low hai. Aur agar aapko lagbhag $.50 ya isse upar ki CPC mil rahi hai to High CPC hai.



Low CPC ke Reasons

1) Traffic Kam Hona.

2) Organic Traffic na aana.

3) Ek Page par jaroorat se jyada ads show karana.

4) High Quality Keyword ka use na karna.

5) Ads Placement ka sahi knowledge na hona.

6) Indian Companies adsense ko ads lagane ke kam payment karti hai. Ek ye reason  bhi hai Low CPC ka.

  • Google Search Console Me Sitemap Submit Kaise Kare
  • Website/Blog Ke Liye Sitemap Kaise Banaye | How To Create Sitemap


Adsense CPC Increase Karne Ki Top 6 Tips

1) High CPC Keywods Use Kare

Sabse Accha Tarika CPC badhane ka yahi hai. Aap apne blog post me high cpc keywords use kare. Isse aapki post ko boost milega, Aur aapka Post jaldi Rank karega. Google Search Result me Top par show karega. Isse aapki CPC par bahut effect padega. Google search result ke top me jo post show karti hai unki CPC bahut high hoti hai. To isliye ye tarika sabse accha aur best hai. High Quality CPC Keywords research ke liye google me aapko bahut se tools mil jayengi. Lekin main aapko ek free aur best tool suggest karunga. Aap Google Keywords Planner ka Use kar sakte hai High Quality CPC Keyword search karne ke liye.

2) Ads Placement

Ad Placement bahut important hai. Adsense ke rule ke hisaab se ad Placement karenge to CPC automatic increase ho jayegi. Agr aap ads ko kahin bhi apne marzi se lagate hai to CPC bahut jyada LOW ho jayegi. to isliye kabhi bhi ads ko apne marzi se set na kare, Hamesha Adsense Ads Placement ke rule ko follow karen. Ad ki Size kya honi chaiye, Aur Ads ko kaha show karna chahiye ye aapko jaana bahut jaroori hai. Iske liye aap adsense ads placement policy ko read karen. Iske alawa main bhi aapko thoda guide kar deta hu. Adsense Ads ki best size ye hai → [Responsive, (300 X 250) , (336 X 280) , (728 X 90) , ( 160 X 600) , (468 X 60) . Aap in ads size ko use kar sakte hai. Lekin sabse best size option hai “Responsive”. Iske alawa Ads ek page me 3 hi show kare. 1 “Header” par aur 2 Post me. pehla post ke title ke niche, aur dusra post ke middle me ya last me.



3) Get Organic Traffic

Organic traffic se aapki CPC bahut high ho sakti hai. idhar udhar se traffic laane ke chakkar me mat padiye. isse aapki cpc low ho sakti hai. aap jyada dhyan original traffic par dijiye. ese post likhiye jo sabse alag ho bilkul unique ho. aur keywords acche use kijiye. Jisse ki aapki post rank kare. Aur Search engine se jo views aata hai uski CPC bahut high hoti hai. Jo traffic google search engine ya kisi other serach engine se aati hai use Organic Traffic kehte hai. Post ko index karane ke liye apne blog ko google search console me aur sabhi other search engine me submit kare. Isse aapki blog ki post index hongi. aur aapko organic traffic milegi.

4) Low CPC Ads Block

Aap adsense me jaa kar low cpc wale ads ko block kar sakte hai, Isse jo bhi low cpc wali ads hongi wo aapke blog par show nahi karegi. Iske liye aapko adsense me jana hoga aur low cpc wali ads ko search karna hoga. Is tarah se aap lagbhag 30% cpc increase kar sakte hai. Bahut se ese companies hoti hai jo adsense ko kam payment karti hai , isliye unki cpc low hoti hai. Ese me aap un companies ko search kar ke block kar sakte hai. Iske liye aap Adsense ke my ads section me jaiye. Uske baad Ads block ka option aapko dikhega. Wahan se aap ads ko block kar sakte hai. Lekin dhyan de ki kisi high cpc wali ad ko block mat kare.

5) Ads Show on Every Post

Ye sabhi ke liye bahut jaroori hai. Apne blog ke sabhi post me ads show kare. Lekin utna hi jitna requirement hoti hai. Yaani ki rule ke hisaab se. Aap ek total page me 3 Content ads, 3 Link ads aur 2 search box laga sakte hai. Ek total page ka matlab hai Header, Sitebar, Footer aur post. sabhi ko mila kar ek page hota hai. Aur aap kosis kare ki home page me sirf 1 hi ad lagaye Header par. baaki sabhi ads ko Post me show karaye. Isse aapko click milne ke chance badh jaate hai. Dhyan lakhe ki jyada ads na lagaye. Jyada ads lagane se bhi cpc low hoti hai. to jitna rule me hai utna hi lagaye.

6) Target Countries

CPC contries par bhi depend karta hai. Agar aapko india se click mila hai to uski alag cpc hogi aur US, UK se click milta hai to uski alag cpc hoti hai. US, UK, ya aur other countries ke mukablee India ki CPC bahut kam hoti hai. Agar aap english me blog post karte hai to aap US , UK jaisi contries ko target karke high cpc pa sakte hai. aur adsense se acchi earning kar sakte hai. Agar aapki blog hindi me hai to aap esa na kare. Kyunki Lalach buri bala hai. Target to aap kar denge, par aapki blog hindi me hone ke kaaran US ya UK jaise countries se koi views nahi aayegi. isse aapki Ranking par effect par sakta hai. aur traffic bhi kam ho sakte hai. Isliye agar aap english me blog post karte hai tabhi esa kare. Otherwise mat kare.

    To Dosto, Ye the Adsense CPC ko Increase karne ke Top Tips. Ummeed karta hu ki aapko sabhi steps acche se samjh me aa gayi hogi. Agar koi bhi cheej samjh me nahi aayi ho to aap hame comment karke puch sakte hai. Iske alawa aap Tech Hindi Gyan ko Follow karke hamari sabhi naye post ki notifications lagatar paa sakte hai.

    Apna Kimti Samay Dene Aur Post Padhne Ke Liye
    Thanks / Dhanyaawaad  ☺☺☺☺

    Related Post :

    • Google Adsense Auto Ads Kya Hai | Auto Ads Kyu Aur Kaise Lagaye
    • Custom Ads.Txt Kya Hai | Blogger Me Kaise Add Kaise 
    • Blogger Blog Ke Sabhi Post Me – Ek Saath Adsense Ads Kaise Lagaye
    • Blog Post Ko Fast Index Kaise Kare | How To Index Blog Post Quickly
    • Blog Ya Website Me YouTube Subscribe Botton Kaise Add Kare
    • Google Search Console Me Sitemap Submit Kaise Kare
    • Website/Blog Ke Liye Sitemap Kaise Banaye | How To Create Sitemap
    • Blog Post Content Ko Chori Hone Se Kaise Bachaye | How To Save Blog Post from Copy Paste
    • Blogger Custom Domain Me HTTPS Kaise Enable Kare

    1 thought on “Google AdSense CPC kaise Increase Kare | Top 6 AdSense Tricks 2018”

    Leave a Comment