Blogger Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Best Websites

Table of Contents

Hello Dosto, Blog ki traffic badhane ke liye ek acchi Template ka hona bahut jaroori hai. Template (Theme) yaani Blog ki Design and Look. Aapke blog ka Look aur Design jitna accha hoga, aapke blog par utna hi jyada traffic aayegi. 

Agar aapki blog ka look aache nahi hai, aur aapki site clean nahi hai to aapke site par visitors kam aayenge. Kyunki visitors ko aapki site pasand aana jaroori hai. Isliye Hame apne blog me ek acchi si Template ko choose karke lagana chahiye.

Blogger Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Best Websites

Jis tarah se aap apne aap ko clean rakhte hai aur acche kapde pehante hai. Waise hi hame apne blog ko bhi clean and clear rakhna chahiye. Jisse ki jyada se jyada logo ko blog pasand aaye. Aur hamare site ki visitors increase ho. 

Blog me Template Change karne ka tarika maine pehle hi ek post me bata diya hai. Aap is Link par click karke padh sakte hai. → Blogger Blog Ki Template Change Kaise Kare.

Main aapko recommend karunga ki Blogger Blog ki Default Theme ko use mat karen. Agar aap apne blog ko jaldi grow karna chahte hai to aapko ek accha sa custom template use karna jaroori hai. 

Isliye main aaj aapko is post me Top 10 Best Websites ke baare me bataunga jahan se aap SEO Friendly, Mobile Friendly, Templates download kar sakte hai. Apko yahan se Free aur Premium dono Theme mil jayenge.

Top 10 Best Websites For Blog Templates (Theme)

1) Gooyaabi Templates

Gooyaabi Templates ek accha aur popular website hai Blogger Templates ke liye. Aap yahan se apne blog ke liye Theme download kar sakte hai. Inke website me aapko sabhi templates SEO Ready milengi. 

Bas aapko Meta Tag Add karna hai. Aur Google Search Engine me aapki blog bahut jald rank karne lagegi. Isme aapko template ke sath bahut se features milengi. Free aur Premium dono theme is website me available hai. Aap koi bhi use kar sakte hai. Lekin main aapko pehle Free Template use karne ka sujhaw dunga.

2) Theme Forest

Theme Forest bhi ek accha option hai Blogger Templates ke liye. Ye website bhi bahut popular hai aur Trustable bhi hai. Is website par aapko free aur premium dono template milengi. Aapko Best SEO Ready, Adsense Ready, Mobile Friendly, 100% Responsive Templates milengi. 
Premium templates me extra features diye jaate hai. aur free templates me Premium ke mukablee kuch kam features hote hai. Lekin starting me aap Free Theme hi use kare. Uske baad aap ek best SEO ready premium theme choose kar sakte hai.

3) Sora Templates

Sora Templates ek bahut hi acchi website hai Blogger Templates ke liye. Inke site par aapko clean , elegant , clear templates milengi. Yahan par bhi same Free aur Premium themes available hai. Isme aapko sabhi templates mobile friendly, SEO ready, Adsense supported, Clear Navigation, Ke sath milengi.


4) New Blogger Themes

Is website par aapko 2015 se lakar abhi tak ki sabhi Blogger Template dekhne ko milengi. Isme aapko SEO Friendly , Mobile Friendly aur Responsive Templates milengi. Sabhi Themes ke Look aur Design acchi hai. Iske alawa aap jo bhi template download karna chahte hai uske baare me pehle details check kar le. 

5) BTemplates

Agar aap bilkul simple aur clean templates use karna chahte hai to aap BTemplates ki website par jaaye. Inke site par aapko Simple aur clean templates asani se mil jayengi. Iske alawa sabhi template Free hai to isliye aap asani se download bhi kar sakte hai.

6) Spicy Tricks

Spicy Tricks bhi ek acchi website hai Blogger Blog ke Templates ke liye. Isme aapko Magazine, News, Media, Tech, Etc. ke liye best aur better templates milengi. Aapka blog jis topic pe hai aap us topic jaise templates ko yahan se download kar sakte hai.

7) My Blogger Themes

Is website me 4 sidebar columns supported templates available hai. Agar aapko 4 columns sidebar wale templates chahiye to aap is site me visit kar sakte hai. Iske alawa isme 1, 2, 3 column sidebar wale templates bhi available hai.

8) Best Blogger Templates

Ye bhi ek bahut acchi site hai blogger blog ki templates ke liye. Isme sabhi templates responsive aur SEO ready diye gaye hai. Aur fast loading themes isme diye gaye hai.  Template ka fast loading hona bahut jaroori hai. To aap yahan se download kar sakte hai.

9) Design Scrazed

Ye website best design templates ke liye popular hai. Jaisa iska naam waisa hi iska kaam. Best Design aur Best Look wale templates isme aapko dekhne ko milega. Isme aap without coding ke apne blog ko design kar sakte hai.

10) Fresh Design Web

Ye website bhi bahut popular hai. Is site par aapko Blogger ke sath sath WordPress aur Website ke liye bhi Templates mil jayegi. Iski templates bhi SEO Ready, Responsive hai. Agar aap apne blog ka look website ki tarah rakhna chahte hai to aap inki templates ko download kar sakte hai.

To Dosto, ye the Top 10 Best Websites jahan se aap Blogger Blog ke liye Templates Download kar sakte hai. Mujhe Ummeed hai ki aapko ye post pasand ayi hogi. Agar aapko ye post pasand aayi hai to please is post ko Share jaroor kare. 

Iske alawa aapka koi sawaal ya sujhaw hai to aap hame comment karke jaroor bataye. Aur Tech Hindi Gyan ko Follow kare. Jisse ki hamare sabhi naye post ki jankari aapko milti rahe.

Apna Kimti Samay Dene Aur Post Padhne Ke Liye
Thanks / Dhanyaawaad  ☺☺☺☺

Related Posts :

1 thought on “Blogger Blog Ke Liye Template Download Karne Ki Top 10 Best Websites”

Leave a Comment