Blogger Blog Me Multiple Authors Kaise Add Kare | How To Add Multiple Authors On Blogger Blog

Table of Contents

Hello Dosto, Agar Aapki Blog News, Magazine, Media, Etc. se related hai to aapki ek team bhi hogi. Aur aapko per day 25 se 30 post karna karni rehti hogi. Ese me sabhi post ko akele likh kar publish kar pana bahut muskil hai. Muskil hi nahi Namumkin hai. Isliye ese me ham apne blog me kayi logo ko as a Author add kar sakte hai. Iski abhi koi limit tay nahi ki gayi hai. Aap jitne member chahe utne Add kar sakte hai. Aap unhe Author Ya Admin ke roop me apne blog me add kar sakte hai.


Blogger Blog Me Multiple Authors Kaise Add Kare | How To Add Multiple Authors On Blogger Blog

Agar aapka koi normal Blog hai jise aap akele manage kar sakte hai to aapko kisi bhi other member ko add karne ki jaroorat nahi padhti hai. Lekin wahin agar aapka blog bade platform pe hai, Jaise ki News Blog, Media, Magazine, Etc. To ese me aapko apne blog me aur bhi members ko add karna padega. Kyunki aap akele blog ko manage nahi kar payenge. To aapko ek option mil jata hai add members ka. Jisme aap Author aur Admin ke roop me members add kar sakte hai.



Aapko Do Option milta hai kisi bhi member ko apne blog me add karne ke liye. Pehla Option hai “Author” Aur Dusra Option hai “Admin”. Aap Author ke roop me jise aad karenge uske baas koi bhi control nahi hoga. Wo kewal aapke blog me Post likh sakta hai. Iske alawa koi bhi right uske paas nahi hoga. Wahin Agar, aap kisi ko Admin ke roop me add karte hai to us bande ke baas aapke blog ka saara control chala jayega. Yaani ki wo aapke blog ki settings, post, comments, sab kuch dekh sakta hai aur uske sath cher chaar bhi kar sakte hai. Isliye main aapko Recommend karta hu ki aap kisi ko bhi as a Admin mat add kare. Agar aapke family ya aapke bahut close hai, to aap kar sakte hai. Lekin apne risk par kijiyega. Otherwise, Aap as a “Author” kisi ko bhi add kar sakte hai. Kaise Add karna hai, Chaliye seekh lete hai. Multible Member Blog me Kaise Add kare – Niche diye gaye steps ko follow kare :



How To Add Multiple Authors & Admin On Blog

1) Sabse Pehle Blogger par apne Blog ko Login karle.

2) Uske baad Dashboard.

3) Ab Settings  >>  Basic.

Go To Blogger >> Login >> Dashboard >> Settings >> Basic

4) Ab sabse niche aa jaye.  Aapko “Blog Author” ka option dikhega.

5) “Add Author” par click kare.

6) Ab jise add karna chahte hai uska Gmail I.D. enter kare.

7) Uske baad “Invite Author” par click kar de.

Blog Authors >> Add Authors >> Enter Gmail ID >> Invite Authors





8) Ab aapne jise invitation send kiya hai, Wo apna G-Mail I.D. login karega, Aur “Accept Invitation” par click karke Invitation ko Accept karega.

invitation send to author

9) Ab jaise hi wo Invitation Accept karega, Waise hi Aapke Blog ki Setting me uska naam show hone lagega.

10) Ab aap use apne blog ka member “Author” ya “Admin” ke roop me bana sakte hai.

11) Uske liye Settings  >> Basic  >> Blog Author par jaaye.

12) Ab “Author” par click kare. Ab aapko dono option Admin aur Author ka dikh raha hoga. Ab aap jo banana chahte hai uspe click kar de.

choose author or admin for your blog

To Dosto, Is Tarah se aap Apne Blog me Multiple Members (As a Author) ya (As a Admin) bana sakte hai. Mujhe ummeed hai aapko ye post pasand aayi hogi. Aur mere bataye gaye sabhi steps samjh me aa gaye honge. Agar aapka koi sawaal ya sujhaw hai to aap hame comment karke puch sakte hai. Iske alawa Post pasand aayi ho to please is post ko aage share jaroor kare. Aur Tech Hindi Gyan ko Follow kare. Jisse ki hamare sabhi naye post ki jankari aapko milti rahe.

Apna Kimti Samay Dene Aur Post Padhne Ke Liye
Thanks / Dhanyaawaad  ☺☺☺☺


Related Post :

Leave a Comment